Junoon sawar na hota to baat mushkil thi

On Sunday, May 1, 2011

Junoon sawar na hota to baat mushkil thi ,
Bohat ghubar na hota to baat mushkil thi ,

Raza say tehray hein apni tumharay koochay mein ,
Yanhan qarar na hota to baat mushkil thii,

Rukay howay hein k badlo gay faislay ek din,
Yeh intizar na hota to baat mushkil thi,

Yeh dil rafeeq hay apna taweel arsay say ,
Yeh ghum gasar na hota to baat mushkil thi ,

Khata hoi thi magar us nay mazrat karlii ,
Wo sharamsar na hota to baat mushkil thi ,

Hum aehlay dil to humesha wafa nibhatay hein ,
Yeh karobar na hota to baat mushkil thi ,

Humaray samnay rahta hay wo har ek lamha,
Kabhi kabhar na hota to baat mushkil thi ,

Ajab dil hay badan pay nazar rakhta hay ,
Yeh pehray dar na hota to baat mushkil thi ,

Aab aesay chor k jana ajeeb lagta hay ,
Wo sogwar na hota to baat mushkil thi ,

Dilon say phoot he parti hein cahatien ,
Yeh atibar na hota to baat mushkil thi.

===============================================================

Related Post



Next Post Previous Post
Copyright © Pak SmS Center